माँ बाप और बड़ों की , दुआओं ने की है बरकत ,
और दोस्तों ने मेरे , दिये हरदम ही हैं जलाये !

कभी ग़र मिली है मुश्क़िल , फ़रिश्ते कहीं से आये ,
ग़र मिली स्याह रात कभी , तो सितारे जगमगाये !

ग़र गला कहीं रहा सूखा , तो चश्मे हैं मैंने पाये ,
ग़र नम नहीं थी मिट्टी , बादल हैं उसने बरसाए !

ग़र रहा कभी मैं भूखा , बागों ने फल पकाये ,
ग़र दर्द है मिला कभी , तो ठहाके पलों में पाये !

अब मांगू क्या खुदा से , हैं आंसू मेरे भर आये ,
बस साया दे पनाह का , जब तक ना जान जाये !!

रवि ; अहमदाबाद : १८ सितम्बर 2011.

Khushkismat hun main hamesha , achchhe log maine paaye
Waqt ko maan maine sargam , Sadaa geet gungunaaye !

Un raston par mili hai , mujhko khuda ki nemat
Jo raaste mujhe , mere guruon ne hain dikhaaye !

Maa baap aur badon ki , duaaon ne ki hai barkat
Aur doston ne mere diye , hardam hi hain jalaaye !

Kabhi gar mili hai mushkil , farishte kahin se aaye
Gar Syah raat mili kabhi , to sitaare jagmagaaye !

Gar gala kahin bhi hua sookha , chashme hain maine paaye
Gar nam nahin thi mitti , baadal usne hain barsaaye !

Gar raha hun kabhi main bhookha , baagon ne phal pakaaye
Gar dard hai mila kabhi , to pal mein thahaake hain paaye !

Ab maangu kya Khuda se , aansoo hain mere bhar aaye
De panah ka saya , jab tak naa jaan meri jaaye !!

Ravi ; Ahmedabad : 18 September 2011..